Wednesday, 30 November 2011

Kafi Arsa Beet Gya

Kafi Arsa Beet Geya Janey Ab Wo Kesa Hoga?
Waqt Ki Sari Karvi Baten Chup Chap Hi Sehta Hoga

Ab Bhi Bhigi Barish Mein Wo
Bin Chatri K Chalta Hoga

Mujh Se Bichrre Arsa Beeta
Ab Wo Kis Se Lrrta Hoga

Acha Tha Jo Sath Hi Rehte Bad Men Usne Socha Hoga

Apne Dil Ki Sari Batein Khud Se Khud Hi Kehta Hoga?


Sunday, 27 November 2011

Nadan' hain jo rakhtey hain umeed kisi parNadan' hain jo rakhtey hain umeed kisi par,

Nadan' hain jo rakhtey hain umeed kisi par,
.
.
Ik 'Zaat-e-Khuda' k siwa koi kisi ka nahi hota.. . . !!
 
 

Main Aksar Usey Kehta Hoon

!" Main Aksar Usey Kehta Hoon,

"Tum Shor Boht Machati Ho,

"Phir Wo Mujh Se Kehti Hai,
...
"Jab Kalaai Meri Tum Pakro Gy,

"Choorri To Meri Khankay Gi,

"Choorri Ka Shor To Hota Hai,

"Jab Pyar Se Mujhe Bulao Gy,

"Tab Dorr Ke Mein To Aoungi,

"Phir Paayal Meri khanky Gi,

"Paayal Ka Shor To Hota Hai,

"Jab Bindiya Meri Chamky Gi,

"Ye Aankh Main Tumhari Damky Gi,

"Jazby Phir Shor Machayein Gy,

"Jazbo'n Ka Shor To Hota Hai,

"Zulf Meri Suljhaaty Howe,

"Jab Gajray Ko Bikhraao Gy,

"Tab Saansein Meri Mehkein Gi,

"Saanso'n Ka Shor To Hota Hai,

"Wo Aksar Mujh Se Kehti Hai..!!
 
 

Wednesday, 23 November 2011

Hamesha jeet hi jana kamal thori hai

Ye Aankh ronay ki shidat se lal thori  hai

Malal hai mager itna malal thori hai,

bs apny wasty hi fikar mand hain sab log,

yahan kisi ko kisi ka khayal thori hai,

paron ko kat dia hai uraan se pehly,

ye khaouf-e-hijr hai, shaouq-e-wisal thori hai,

maza to tab hai jo har k bhi hansty raho,

hamesha jeet hi jana kamal thori hai,



Tuesday, 22 November 2011

Kon ujra hoga bhari dunya me hmari traah

Kon ujra hoga bhari dunya me hmari traah

Tu bhi na mila "hum" ko aur hum "khud" ko bhi ganwa bethay......




Dare kuch khenchti to kehtay bhi mulaqat ki baat

Dare kuch khenchti to kehtay bhi mulaqat ki baat
Milna apna jo huwa us se so wo baat ki baat

Hoti hai agarcha kehnay se yaroo paraye baat
Per hum se to kabhi thami na moun pe aye baat

kehtay thay us se milye to kia kia na kahiye "laik"
Wo aa gaya to samnay na uske aye baat

Hum to hoye hain hum bhi tere dhab se Ashna
Wahan tu ne kuch kaha to idher hum ne paye baat

Aalam Saya khana hai kiska roz-o-shab
yeah shore hai ke deti nahi kuch sunaye baat


Sunday, 20 November 2011

Saturday, 19 November 2011

Yeh Dil Yeh Pagal Dil

Yeh Dil Yeh Pagal Dil Mera kiun bujh geya awargi
Is dasht mein ik shehar tha wo kia hua awargi

Kal shab mujhe Be-shakal see awaz ne chunka diya
Mein ne kaha tu kon hai us ne kaha awargi

ik tu ke sadiyon se mery humrah bhi humnawaz bhi
Ik mein ke tery naam se na-Ashna Awargi

Yeh Durd ki tanhayian yeh dasht ka weeran safar
Hum log to ukta gay apni suna awargi

Ik Ajnabi jhonkay ne jab poocha mery ghum ka sabab
Sehraa ki tapti rait per mein ne likha awargi

Le ab to dasht-e-shab ki sari wastien sonay lagien
Ab jagna ho ga humien kab tak bata awargi

Kal raat tanha chand ko dekha tha meiny Khawab mein
"Mohsin" Mujhe raas aye gi shayad sada awargi,,



Friday, 18 November 2011

Jitni Duaien Ati thien

Jitni Duaien Ati thien
Sab maang lien humne
Jitney wazeefay yaad they saaray
ker bethey hain
kai taraah sy jee dekha hai
Kai tarah sy mar bethey hain
Lekin Janna!!!
Kisi bhi surat
Tum mere ho ker bhi Dua nahi detey...!!!