Saturday, 31 December 2011

Humien hamraah chalne ka hunar ata to hai

Humien hamraah chalne ka hunar ata to hai lekin
Mohabbat mein buhat dushwar hota hai
badan sansoon ki hidat se pigltay hon
Magr dil badgumani ke ghubaar alood rastoon per nikal jaien
Jahan khawhishien bhi hath maltien hon nadamat se 
nhi besimat lamhoon mein diloon per yeah bhi khul jaye
Mohabbat or samjhote mein kitna farq hota hai
Wahien humraah chalne ka hunar dum tor deta hai



Friday, 23 December 2011

Hum ne shama bana liya dil ko

Hum ne shama bana liya dil ko
Jab bhi chaha jala liya dil ko

Dard ne azma liya dil ko
Behisi ne bacha liya dil ko

Raja rani ki dastan perh ker
Hum ne phir se sula liya dil ko

Tor dena tha zindagi ne per
Khudkhushi ne bacha liya dil ko

Zakham rakhey hain kis qareeney sey
Dekh mein ne saja liya dil ko

Log seeney mein Qaid rakhtey hain
Hum ne sir per charha liya dil ko



Tuesday, 20 December 2011

Kuch Zeest Safar Bhi Lamba Tha..

Kuch Zeest Safar Bhi Lamba Tha..
Kuch Hum Bhi thora susst Chalay!!

Kuch Hum bhi Apny Dushman thy..
Kuch Hum ko Dushman Bohat Mily!!

Kuch Hum Manzil ko Bhool Gaye..
Kuch Rasty Behad Sakht Thy!!

Or aj ye Apni Halat Hai..
Har Simt Andehra Chaya Hai!!

Har Simt Hai Chayie Veerani..
Har Simt Udasi Ka Saya Hai!!

is Dasht Main Humne Kea Khoya,,
is Raah Main Humne Kea Paya!!

Ik Aag si Dill Main Bharrak Utthi,
Or Aankh Main Pani Bhar Aya..









Sunday, 18 December 2011

Mujhe aksar yeh kehti thi

Mujhe aksar yeh kehti thi
Ke itni bar kehte ho,
�Mujhe Tum se Mohabbat hai�
ke ab dil per yeh sunanay se
Asar koi nahi hota
Magar jab aaj danista,
Nahi bola use mein ne
�Mujhe tum se mohabbat hai�
To uski ankh bhar ayee
 
 
 

Barishoon ke mousam mein

Barishoon ke mousam mein
Waqt ke andheeroon mein
mein ne us se poocha tha
Chorke to na jaoo gay?
Hath thaam ker us ne
kaan mein bola tha
kaisay chor sakta hoon?
aur aaj aisa hai !!!
Waqt ki tamazat mein
wahshiton ke mousam mein
mein ne us se poocha hai
chor ker jana tha?
muskurati ghalioon mein
Aas kion dilaye thi?
payas kion jagaye thi?
mere in sawaloon per
chalte chalte wo bola
mousmon ke khail mein sab jo badlte rehte hain




Friday, 16 December 2011

Bekhawabi ke aadhi hum bhi

Bekhawabi ke aadhi hum bhi
Jab se hoye hain
Khawab suhaanay bikher gay hain
Guriyaan aur patolay jab se
Choote tab se�
Meet puranay bichar gay hain
Such poocho to�.
Dil to apna ab bhi chaye
Maazi apna palat aye
Ankh macholi khelien phir se
Lekin janaa�.
Ab yeh sab kuch kab mumkin hai
Umar ke pul ke neechay se to
Khasa pani ghuzar chuka hai
Chardta darya utar chuka hai




Sada Ker chalay

Faqeerana Aye Sada Ker chalay
Miaan khush raho hum dua ker chale

Jo tujh bin na jeenay ko kehte the hum
So is ahad ko ab wafa ker chale

Shafa apni taqdeer hi mein na thi
Ke maqdoor tak to dawa kar chale

Wo kia cheez hai aah jis ke liye
Har ik cheez se dil utha ker chale

Koi naumeedana le ker nigha
So tum hum se moun bhi chupa ker chale

Buhat arzoo thi ghali ki teri
So yahan se lahoo mein naha ker chale



Wednesday, 14 December 2011

gumaan hota hai iss baar DECEMBER maar dalay ga

Teri yadoon ki rawani aur ye December
Meri batain teri kahani aur ye December
Mera haath tera saath lambi sarak aur ye December
Gum sum shamen sunehri ratain aur ye December
Bhegey din madham suraj halkey badal aur ye December
Behti nadiya gatey panchi urti dhund aur ye December
Coffee bistar teri muhabat aur ye December
Tanha main tanha chand mera kamra aur ye December
Meri ankhen meri neend terey khawab aur ye December �

ye shab ..
sard hawa �
aur hijar ka alam �.
gumaan hota hai iss baar DECEMBER maar dalay ga �..


Tuesday, 13 December 2011

December ki sard raton main

December ki sard raton main
sub apney apney bister per
jab meethi neend so rahey hotay hain
lekin main jag raha hota hoon
bas yoonhi chat ko taktay rehta hoon
soch ki waadi main utartay hi khiyal us ka ata hai 
phir yaad bhi woh ate hain
yadoon ke sath hi yeh baat dil main ati hai
kiya wo bhi jagti hogi
kiya mujhay sochti hogi
kiya uski meethi neend bhi
us se rothti hogi
kiya mujh ko dhondti hogi
December Ki sard ratoon main...




Monday, 12 December 2011

Friday, 9 December 2011

Tumhen hum yaad karte hain

ye hum tasleem karte hain
hamen fursat nahen milti

magar���

o meri soch ke mehwar!
kabhi ye bhi zara socho!!!
ke��.
tumhen hum yaad karte hain
to khud ko bhool jate hain��



Thursday, 8 December 2011

Wednesday, 7 December 2011

Tuesday, 6 December 2011

Nazar se door


Nazar se door reh kar bhi kisi ki soch main rehna ?
" kisi ke pass rehne ka tarika ho to aisa ho "

Saturday, 3 December 2011

lamha lamha


W0h lamha lamha mjhe beqrar krta hai

main kaise maan loon wo mujhse piyar krta hai

Aajb saleeke se unse dia faraib mujhye

Aan0khe Rang se woh dil pe waar krta hai

Na be niyazi ki had na qurbata0n ka shumar

woh jo b krta hai Be ikhtyar krta hai

usey khabar na hui kia guzr gai mujh par

jo mera h0ny k dawe hzar krta hai

main aitbar kroon b to kis tarah :-(

w0h wada krta hai 0r bar bar krta hai ,,,,





Friday, 2 December 2011