Tuesday, 25 October 2011

Kaheen se tera saath le Aaoon

Kaheen se tera saath le Aaoon
Wasl ki chaand raat le Aaoon
Beth jaon kisi doorahay par
Maang kar tera hath le Aaoon
Kitni sadiyon ke baad bolo main
Lab pe aik teri hi baat le Aaoon
Apni aankhoon ki band galion se
Aansoon ki baaraat le Aaoon
Itni Ibadat karoon ke main ik din
Apni zaat mein teri zaat le Aaoon


Woh bhi ro de gaa

Woh bhi ro de gaa ussey haal sunaaien kaisy

Mom kaa ghar hai chraaghon ko jlaaien kaisy

Bojh hotaa jo ghamon kaa to uthaa hi lety

Jab Zindagi bojh bani ho to uthaien kaisy



Wednesday, 19 October 2011

Be-khuloos log

Be-khuloos logo'n se ijtnaab karnaa hai *
Mujhy Apne rishto'n kaa Ehtisaab karnaa hai *

Usy bhool jaana hai yaa Usy yaad rakhna hai *
Dukh to ik jaisaa hai bs inteekhaab krnaa hai *



Monday, 17 October 2011

Sunday, 16 October 2011

Halaat key Qadmon mien

Halaat key Qadmon mien Qalandar nahi girtaa,
Tootey bhi Sitaara to zameen par nahi girtaa,
Girtay hain samandar main baray shouq say dariyaa,
Lekin kabhi dariyaa main samandar nahi girta,



Saturday, 15 October 2011

Koi Ghazal suna kar kiya karna,

Koi Ghazal suna kar kiyaa karnaa,
yoon baat barhaa kar kiyaa karnaa,
tum meray thy tum meray ho,
duniyaa ko bataa kar kiyaa karnaa,
Tum Ehed nibhaao chaahat sey,
koi rasm nibhaa kar kiyaa karnaa,
Tum khafaa bhi achay lagty ho,
Phir tum ko Manaa kar kiyaa karnaa,
Teray dar pe aa kar baithy hain,
Ab ghar  jaa kar kiyaa karnaa,
Din yaad sey achaa guzray gaa,
Phir tum ko bhulaa kar kiya karnaa�


Friday, 14 October 2011