Thursday, 6 October 2011

Ik hunnar hai jo kar geya hoon main

Ik hunnar hai jo kar geya hoon main
sab ke dill se utaar geya hoon main

kaisey apni hansi ko zabat karoon
sun raha hoon ke Ghar geya hoon main

kiya bataon ke mar nahin paataa..
jeety jee jab se mar geya hoon main
Ab hai bus apna saamna darpesh
Har kisi se guzar geya hoon main

wo hi naaz-o-adaa, wo hi Gham
sar-ba-sar aap par geya hoon main

Ajab ilzaam hoon zamany ka
ke yahan sab ke sar geya hoon main

kabhi Khud tak pohanch nahin payaa

jab ke wahaan umar bhar geya hoon main

tum se jaanaa milaa hoon jis din se

be-tarah, Khud se dar geya hoon main

ku�e�jaanaa mien sog barpa hai

ke achanak, sudhar geya hoon main...



No comments:

Post a Comment