Thursday, 6 October 2011

shola-e-ishq

shola-e-ishq bujhaana bhi nahi chaahta hai
wo magr Khud ko jalaana bhi nahi chaahta hai

Us ko manzoor nahi hai meri gumraahi bhi,
Or mujhe raah pe laana bhi nahi chaahta hai
sair bhi jism ke sehra ki Khush aati hai magar,
der tak Khaak uraana bhi nahi chaahta hai

kaise us shakhs se tabeer pe israar karen
jo koi Khwaab dikhana bhi nahi chaahta hai

Apne kis kaam mien layega batata bhi nahi
Hum ko auron pe ganvaana bhi nahi chaahta hai

Mere lafzon mien bhi chupta nahi paikaar us ka,
dill magr naam bataana bhi nahi chaahta hai...


No comments:

Post a Comment