Wednesday, 26 October 2011

Tuesday, 25 October 2011

Kaheen se tera saath le Aaoon

Kaheen se tera saath le Aaoon
Wasl ki chaand raat le Aaoon
Beth jaon kisi doorahay par
Maang kar tera hath le Aaoon
Kitni sadiyon ke baad bolo main
Lab pe aik teri hi baat le Aaoon
Apni aankhoon ki band galion se
Aansoon ki baaraat le Aaoon
Itni Ibadat karoon ke main ik din
Apni zaat mein teri zaat le Aaoon


Woh bhi ro de gaa

Woh bhi ro de gaa ussey haal sunaaien kaisy

Mom kaa ghar hai chraaghon ko jlaaien kaisy

Bojh hotaa jo ghamon kaa to uthaa hi lety

Jab Zindagi bojh bani ho to uthaien kaisy



Wednesday, 19 October 2011

Be-khuloos log

Be-khuloos logo'n se ijtnaab karnaa hai *
Mujhy Apne rishto'n kaa Ehtisaab karnaa hai *

Usy bhool jaana hai yaa Usy yaad rakhna hai *
Dukh to ik jaisaa hai bs inteekhaab krnaa hai *



Monday, 17 October 2011

Sunday, 16 October 2011

Halaat key Qadmon mien

Halaat key Qadmon mien Qalandar nahi girtaa,
Tootey bhi Sitaara to zameen par nahi girtaa,
Girtay hain samandar main baray shouq say dariyaa,
Lekin kabhi dariyaa main samandar nahi girta,



Saturday, 15 October 2011

Koi Ghazal suna kar kiya karna,

Koi Ghazal suna kar kiyaa karnaa,
yoon baat barhaa kar kiyaa karnaa,
tum meray thy tum meray ho,
duniyaa ko bataa kar kiyaa karnaa,
Tum Ehed nibhaao chaahat sey,
koi rasm nibhaa kar kiyaa karnaa,
Tum khafaa bhi achay lagty ho,
Phir tum ko Manaa kar kiyaa karnaa,
Teray dar pe aa kar baithy hain,
Ab ghar  jaa kar kiyaa karnaa,
Din yaad sey achaa guzray gaa,
Phir tum ko bhulaa kar kiya karnaa�


Friday, 14 October 2011

Thursday, 13 October 2011

Golden Rules Of Humor


Growing up has becoming too serious. I�d love to see more Moms and Dads sharing a chuckle with their children and kids belly-laughing with each other.

Increasingly, parents feel burdened by responsibility and guilt. They spend millions of dollars on books that tell them how to raise competent and intelligent youngsters. Yet they approach the task of rearing their offspring as if they were attending a funeral.

It seems being young has become more of a prison sentence than a phase of life.

I know life isn�t a bed of roses, and that sometimes we just don�t feel like laughing. But the times when life becomes miserable are actually the times we need humor the most.

Parents, enjoy your children, allow yourselves to revel in their honesty, innocence and youth. Don�t die of embarrassment when your toddler puts her finger in her nose while you�re showing her to the relatives. All toddlers do it. Chortle at her delightful lack of self consciousness, and then give her a big-warm hug.

And don�t tear your hair out when your son and all his friends run through the house leaving every door open in their wake. Sure, set some guidelines for their behavior, then laugh at their boyish energy and them back outside, even the normally serious task of discipline can be done in a light-hearted manner.

One morning I snapped at my two sons for wrestling in the kitchen. As I stood nearby, watching them stare morosely into their cereal bowls, I proclaimed loud and clear, �Boy, Mom sure is crabby this morning.� They burst into laughter. They had gotten the message that the kitchen wasn�t playground; there was no sense in their continuing to feel miserable.

Keep in mind the Golden Rule of humor: a joke or statement has to be funny to every one involved. If someone isn�t laughing, then their feeling need to be respected and that topic kept off limits.

Never laugh at a child. A youngster�s mistakes or lack of knowledge may indeed seem humorous at times. But the damage ill-timed laughter may cause to tiny egos is never worth the few moments of adult hilarity.

Wednesday, 12 October 2011

Kabhi yaad aye to poochna

Hamari kismat

Hamari kismat to asman Per chamktay huy Sitaron ki trha hai

"Wasi"

Log apni Tammna k liye hamary tootne ka ntzar krty hain .....


Kabhi kabhi dil chahta hai

Kabhi kabhi dil chahta hai kuch asia ho jaye..

Papers ho par result na aye..

Class ho par teacher na aye..

Bus mein baithe par college na jaye�

Picnic per jaye ur wapas na ayein..

Hafte mein 3 din ho or phir Sunday ajaye�

Sote rahe din bhar�sham ko ghumne jaye..

Hum bilkul na parhe ur pass ho jaye..

Sab dost sath rahe or chuttiyan manae�

Jisay chahte hay dil se wo apna ho jaye�

Barish mein bhige ur zoor se gana gaye�

Duniya bhool jaye phir se bacche ban jaye�

Bheer se dur yoon hii duniya banae�

Sari Zindgai bas yuh hi kaat jaye..

Kash ye sare sapne sach ho jaye�

Kabhi kabhi dil chahta hai kuch aisa ho jaye.. ! =D

Monday, 10 October 2011

Khud Pe Bhrose Ka Huner Seekh Lo

Khud Pe Bhrose Ka Huner Seekh Lo ,,
---"Hadi"--
Sahare Jitne Bhi Sachay Hon Sath Chor Jate Hain..!


One stdent in collge

1 stdent college mai admision lene gya.

Test lene wale ne kaha: Mai tum se 1 mushkil swal poochun ya 10 aasaan swal?

Student: 1 mushkil swal

Teacher: Batao din pehle aata hy ya raat?

Student Din

Teachr: Wo kese?

Studet: Excuse me Ye aap ne doosra sawal pooch lia hy

Full Inteligent :-p

Saturday, 8 October 2011

Mat kar yaqeen

Mat kar yaqeen apneY haton ki lakeeron Par....

Naseeb un k bhi hoty hain jin k hath nahi hoty...

?�?�"Love Story Of Pencil & Eraser"�?�?



Pencil : I m Sorry

Ereaser: For what? U did'nt do anything
wrong...

...
Pencil: I m Sorry coz u get Hurt bcz of me,
Whenever I made a Mistake u r always there
to erase it,
But as u make my mistakes vanish u lose a
part of urself, U get smaller & smaller.

Ereaser: Thats true but i dont mind u c i was
made to d0
this i m here to help u whenever u make a
mistake & i
knw "You'll Replace me 1 Day"
But Im Happy...

Coz (I Hate 2 See U Sad)??


Friday, 7 October 2011

Badan ke donon kinaaron se jal raha hoon main

Badan ke donon kinaaron se jal raha hoon main
K chhoo raha hoon tujhe or pighal raha hoon main
Tujhi pe Khatm hai jaana mery zawaal ki raat
Tu ab tulu bhi ho ja, ke Dhal raha hoon main
(tulu :  appearing)
Bula raha hai mera jaama-zeb milne ko
To aaj pairahan-e-jaan badal raha hoon main

Ghubaar-e-rahguzar ka ye hausla bhi to dekh
Hawa-e-taazaa! tery sath chal raha hoon main

Main Khwaab dekh raha hoon k Wo pukaartaa hai,
Or apne jism se baahar nikal raha hoon main


sach baat maan lijey

sach baat maan lijey chehry pe dhool hai
ilzaam aainon pe lagaana fazool hai

teri navaazishen hon to kaanta bhi phool hai
Gham bhi mujhe qabool, Khushi bhi qabool hai

us par ab to koi tera muntazir nahi
kache Ghare pe tair kar jaana fazool hai

jab bhi mila hai zakhm ka tohfa diya mujhe
dushman zaroor hai vo mager baa-usool hai


Uchal parta hai saayaa


^���^
Uchal parta hai saayaa aur mujhko Dar nahi lagtaa
koi assaib ho insaan se barh kar nahi lagta

kaheen kache phalon ko sang-baarii tor leti hai
kaheen phal sukh jaate hain koi pathar nahi lagta

hazaaroN mushkilein hain doston se door rahne mien
mager ik fayda hai peeth par Khanjar nahi lagta
^���^
kahaa phir phone par maan se ke raviaish likhtaa hai
samandar par mera haal kiya hai kisne dekha hai

ujaale ke numaainde nayi taariKh likhte hain
jalaayi hain kuch itni bastiyaan har suu ujaalaa hai

itnii nokiilii kirno se paudaa to jal jaayega
lekin das-baaraah Ghanton mien sooraj bhi Dhaal jaayega

Thursday, 6 October 2011

shola-e-ishq

shola-e-ishq bujhaana bhi nahi chaahta hai
wo magr Khud ko jalaana bhi nahi chaahta hai

Us ko manzoor nahi hai meri gumraahi bhi,
Or mujhe raah pe laana bhi nahi chaahta hai
sair bhi jism ke sehra ki Khush aati hai magar,
der tak Khaak uraana bhi nahi chaahta hai

kaise us shakhs se tabeer pe israar karen
jo koi Khwaab dikhana bhi nahi chaahta hai

Apne kis kaam mien layega batata bhi nahi
Hum ko auron pe ganvaana bhi nahi chaahta hai

Mere lafzon mien bhi chupta nahi paikaar us ka,
dill magr naam bataana bhi nahi chaahta hai...


Kab uska visaal chaahiye tha

Kab uska visaal chaahiye tha
Bas ik Kheyaal chahiye tha

Kab dill ko jawab se Gharz thi
Honton ko sawal chahiye tha
shauq ek nafs ka tha or wafaa ko
paas-e-maah-o-saal chahiye tha

ek chehra-e-saada tha jo humko
be-misal-o-misaal chahiye tha

ik qarb mien zaat-o-zindagi hain
mumkin ko muhaal chahiye tha

Ik hunnar hai jo kar geya hoon main

Ik hunnar hai jo kar geya hoon main
sab ke dill se utaar geya hoon main

kaisey apni hansi ko zabat karoon
sun raha hoon ke Ghar geya hoon main

kiya bataon ke mar nahin paataa..
jeety jee jab se mar geya hoon main
Ab hai bus apna saamna darpesh
Har kisi se guzar geya hoon main

wo hi naaz-o-adaa, wo hi Gham
sar-ba-sar aap par geya hoon main

Ajab ilzaam hoon zamany ka
ke yahan sab ke sar geya hoon main

kabhi Khud tak pohanch nahin payaa

jab ke wahaan umar bhar geya hoon main

tum se jaanaa milaa hoon jis din se

be-tarah, Khud se dar geya hoon main

ku�e�jaanaa mien sog barpa hai

ke achanak, sudhar geya hoon main...



maskan-e-maah-o-saal

maskan-e-maah-o-saal chhor geya
dill ko us ka Kheyal chhor geya

taaza-dam jism-o-jan thy furqat mien
vasl us ka nidhhaal chhor geya

Ehad-e-maazi jo tha ajab purhaal
ik viraan haall chhor geya

zaala-baari ke marhalon ka safar
qaafiley, paamaal chhor geya

dill ko ab ye bhi yaad ho ke naa ho
kaun tha , kiya malaal chhor geya
main bhi ab Khud se hoon  jawab-e-talab
wo mujhe be-sawaal chhor geya...


Wednesday, 5 October 2011

Mera Saya

Sath Chalny ko Chaly Thy ......Dost Dushman sub

'Wasi'

Meri manzil Tak ka Saathi.... Sirf mera Saya Nikla..


pani ki lehron pe

pani ki lehron pe hurf-e- bayan likhna chor do.
sahil pe, rait k kachy makaan banana chor do.

meri mano to chaht k asbaab banana chor do.
zamana naam hay mushkilon or nafraton ka.
...

mere liye zamana ya mujhy zamaany k liye chor do.
hosla to bohut deti hai mohabat bhi nafrat bhi.

mujhay panay ki koshish to karo chahay hasil kar k chor do
 
 
.

Mere Dushman

Mere Dushman Bhi
Mujhe Hansta Hua
Chor Gaye..


Kehny Lagey Tere
Apne He Kafi Hain
Tujhe Rulaney K Liye
....


Tuesday, 4 October 2011

Muhabat Jantay Ho Tum?

Muje Sb Log Kehtay Hain.
Muhabat Jantay Ho Tum?
Muhabat Mantay Ho Tum?

Muhabat "AAG" Jaisi Ha.
Jo Jalti Ha To Bujhti Nai
Muhabat "GEET" Jaisi Ha.
Kai Sazon Pe Mabni Ha.
Muhabat Rangon Ki "TITLI"
Jo Khusbu Dhond Leti Ha.

Mgr Kyun Mujko Lagta Ha.
Ye Saray Lafz Jhotay Hain.
Agr Such Ha.
To Bus Ye Ha.
"Muhabbat Aap Jaisi Ha"

Kbi Gumsum
Kbi Chanchal
Kbi Jugnu
Kbi Badal
Kbi Ye Neend Ha To
Kbi Ye Khawb Jaisi Ha..
Muhabbat Aap Jaisi Hai.?


Quote 0f The Day



N o b o d y
Can Take Away Your
P a i n
So Never Let Anybody Take
Away Your
H a p p i n e s s ...

Dil hota to

Dil main Hota to kisi tor nikal bhi jata

Ab to wo shakhs bohat door talek hai mujh mien...


Beete Hue Lamhy

Main Apne Beete Hue Lamhon Ko Bhool Jaon Kese.
Main Doston Ko Yad Kiye Bina Reh Paon Kese.

MERI DOSTI

MAIN APNI DOSTI KO SHEHAR MAIN RUSWA NAHI KRTA

MUHABBT MAIN BHI KRTA HUN MAGR CHRCHA NAHI KRTA

ADVICE

If you were thinking about someone while reading this, you're definitely
in Love.

Apna Khayaal Rakhna

Bus Itna He Chahna Mere Baad Meri Zaat Ko Tum....
Ke Ager Kabhi Main Yaad Aon To Apna Khayaal Rakhna ...

KAL YAAD BOHAT TUM AYE THEY

Kal Halki Halki Barish Thi
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha
Kal Phool Bhi Nikhray Nikhray They
Kal Un Pe Ap Ka Aks Bhi Tha
Kal Badal Kalay Gehrey They
Kal Chaand Pay Lakhon Pahray They
Kuch Tukrey Ap Ki Yaad Ke
Bari Dair Say Dil Main Thehrey They
Kal Yaaden Uljhi Uljhi Thien
Or Kal Tak Yeh Na Suljhi Thien
Kal Yaad Bohat Tum Aye They
KAL YAAD BOHAT TUM AYE THEY...